Jane kis
duvidha me mann baitha hai
Na raha
chain ka alaam na neend ka patah hai
Kis kis ko
samjaon main yeh
Ki meri
zindagi ek behti dhara hai
Jo Kinaro ka
sath zindagi bhar deti hai
Par aakhir
milti sagar se hi hai
Sab ki nazar
bas nirmal nischal
Dhara tak hi
hoti hai
Koi nahi
dekhta ki andaar
Kitne thokare
khani parti hai
Kinaro ki
tadap alag dukh deti hai
Unhe to mera
sath chalawa lagta hai
Unhe kya
patah unse hi meri zindagi hai
Sagar to
mujhe sirf mitata hi hai
Par kinare
kab yeh samjhe hain
Bachapan se
lekar jawani ki atkeliyan
Kab unhe
yaad aayi hai
Unke liye to
mera sath
sagar se
milne tak ka hi
Rahon ke
rore ki chot to bardast hoti hai
Dil to bas
dukta hai jab apne kinare hi nahi samjh pate hain
No comments:
Post a Comment