Total Pageviews

Monday, September 5, 2011

Barbaadi



Barbaadi woh nahi jo tum dekhte ho mujhme
hum to abaad hai kisi ki bewafai se
itna gurur to khud husn-e-malika me nahi hoga
jitna mujhe hai apne mehboob ki ruswai me

In aansoun ko barbaadi ki nissani na samjhna
ye to bas ek zariya hai mehfil jamane ka
hansi ki to fitrat hai dhoka dena
par mere mehboob ko aadat hai isme bhi jitne ka

Log na jane wafa ki kyun aas lagate hain
Jab bewafai me itni sachai hai
Wafa me ek kharonch bhi barbaad karta hai
aur bewafai ki wafai hi mishaal hai

Humse jo puchoge barbaadi ka raaz
kasam khuda ki apni wafai ka naam lenge
Khud rehta hai mere andaar ye chalbaaz
aur ab kehta hai chalo aise bhi jee lenge

1 comment: