Maa woh hai jo
9 mahine hume itne karib rakhti hai
ki hum zindagi bhar dur nahi ho pate hain
maa woh hai jo
bachpan se le kar ab tak ki har
gadi ko kal ki baat saman yaad rakti hai
maa wo hai jo
apne khane me se ek bada tukra
hume de de
maa wo hai jo
raat me darr agne par apne karib sulaye
maa wo hai jo
subah na jane kab uth kar humara
breakfast bana deti hai
maa wo hai jo
gussa hone par belan ya karchi se pitai karti hai
aur pir sehlati hai
maa wo hai jo
humare sath raat bhar jag kar exam ki tayari me
sath deti hai
maa wo hai jo
alarm bajne se pehle utti hai
maa wo hai jo
sabke pasand napasand yaad rakti hai
maa wo hai jo
ghar ke har saman ke kis jagah hone ka
pura detail janti hai
maa wo hai jo
auron ko bin bole pasandida chiz
chupke se de jati hai
maa wo hai jo
har galti hans kar maaf kar deti hai
maa wo hai jo
papa se humare liye farmaish karti hai
maa wo hai jo
apni khushi ko undkeha kar
hamari muskurahart me apni hansi khojti hai
maa wo hai jo
ab bhi apne hathon se khana khilane ko
aathur rehti hai
maa wo hai jo
humari pasand ki sari pehna pasand karti hai
maa wo hai jo
aisa pyaar karti hai ki har kisiko
lagta hai "meri maa" mujhse hi sabse jada pyaar karti hai
maa wo hai jo
humara birthday kabhi nahi bhulti
maa wo hai jo
din raat hume dua deti hai
maa wo hai jo
nischal pyaar karti hai
maa wo hai jo
shabdon ke pare hai
Maa to bas Maa hai...
I love you Maa